raste sikhate hain kis se kya alag rakhna | Urdu Poetry

 Raste Sikhate Hain

aadil raza mansoori Image


rāste sikhāte haiñ kis se kyā alag rakhnā

manzileñ alag rakhnā qāfila alag rakhnā

ba.ad ek muddat ke lauT kar vo aayā hai

aaj to kahānī se hādisa alag rakhnā

jis se ham ne sīkhā thā saath saath chalnā hai

ab vahī batātā hai naqsh-e-pā alag rakhnā

kūza-gar ne jaane kyuuñ aadmī banāyā hai

us ko sab khilaunoñ se tum zarā alag rakhnā

lauT kar to aa.e ho tajraboñ sūrat hai

par mirī kahānī se falsafa alag rakhnā

tum to ḳhuub vāqif ho ab tumhī batāo

kis meñ kyā milānā hai kis se kyā alag rakhnā

ḳhvāhishoñ ḳhamyāza ḳhvāb kyuuñ bhareñ 'ādil'

aaj merī āñkhoñ se rat-jagā alag rakhnā


Mor...Ghazal's aadil raza mansoori

Comments