Posts

Featured Post

Din ke sine pe sham ka patthar | Urdu Poetry

 Din ke sine pe sham ka patthar din ke siine pe shaam kā patthar  ek patthar pe dūsrā patthar  ye sunā thā ki devtā hai vo  mere haq hī meñ kyuuñ huā patthar  dā.ere bante aur miTte the  jhiil meñ jab kabhī girā patthar  ab to ābād hai vahāñ bastī  ab kahāñ tere naam kā patthar  ho ga.e manziloñ ke sab raahī  de rahā hai kise sadā patthar  saare taare zamīñ pe gir jaate  zor se maiñ jo pheñktā patthar  naam ne kaam kar dikhāyā hai  sab ne dekhā hai tairtā patthar  tū use kyā uThā.egā 'ādil'  'mīr' tak se na uTh sakā patthar  Mor..... Ghazal

jo ashk ban ke hamari palak pe baiTha tha | Urdu Poetry

safar ke baad bhi mujhko safar mein rahna hai | Urdu Poetry

raste sikhate hain kis se kya alag rakhna | Urdu Poetry