safar ke baad bhi mujhko safar mein rahna hai | Urdu Poetry

 Safar ke baad


safar ke ba.ad bhī mujh ko safar meñ rahnā hai

nazar se girnā bhī goyā ḳhabar meñ rahnā hai

abhī se os ko kirnoñ se rahe ho tum

tumheñ to ḳhvāb āñkhoñ ke ghar meñ rahnā hai

havā to aap qismat meñ honā likkhā thā

magar maiñ aag huuñ mujh ko shajar meñ rahnā hai

nikal ke ḳhud se jo ḳhud meñ Duub jaatā hai

maiñ vo safīna huuñ jis ko bhañvar meñ rahnā hai

tumhāre ba.ad koī rāsta nahīñ miltā

to tai huā ki udāsī ke ghar meñ rahnā hai

jalā ke kaun mujhe ab chale kisī taraf

bujhe diye ko to 'ādil' khañDar meñ rahnā hai





SOURCE :

  • Book : Sarsabz (Pg. 67)
  •  
  • Author : Krishan Kumar Toor
  •  
  • Publication : Sarsabz Dharamshala (April to September 2013)
  •  
  • Edition : April to September 2013

  • Mor...Ghazals 

Comments